Who Was The First Blogger? | job alert72 |


Who Was The First Blogger? | The NN Blogs |

Blog aaj aapko hazaaro lakho dekhne ko mil jaayege. Jisme aap yeh article padh rahe hai voh ek Blog post hai or voh ek Blog hai joh mera Blog hai. Blog aaj lakho log khudka banakar kaam kar rahe hai. Lekin kya aap jaante hai pure world me sabse pehla banaya jaane wala Blog kounsa tha? Or jiska puri duniya me sabse pehla Blog tha us Blog ko bananewale ka naam kya tha? Aaj ke is Blog post me main aapko yehi batane wala hu. Toh chaliye aaj ka Blog post shuru karte hai.

First Blogger In The Whole World

Who Was The First Blogger? | The NN Blogs |

Dekhiye puri duniya me sabse pehla Blog kiska tha yeh batane se pehle main aap sabhi ko Blog kya hota hai yeh bata dena chaahta hu. Mujhe pata hai ki aap me se 80% logo se jyada logo ko pata hai lekin unka kya joh un 20% me se aate hai. Koi dusra bataye na bataye kyuki mai bhi pehle un 20% me se aata tha toh pehle mai sabko Blog kya hota hai yeh bata deta hu.

Toh Blog ko kya hota hai bohot aasan tarike se batau toh Blog ka matlab hota hai ek aisi website joh kisi individual ya kisi small group dwara banayi jaati hai or voh website aisi hoti hai joh regular update hoti rehti hai jisme humesha naye posts (articles) publish hote rehte hai. Use Blog kehte hai.

Who Was The First Blogger? | The NN Blogs |

Ab bhi nahi samjha toh or aasan tarike se bolu toh Blog ka matlab hota hai ek aisi website jisme koi akela insaan ya koi chota sa group milkar apni knowledge ya koi bhi cheeze joh unhe acchi tarike se pata hai voh share karte hai logo se use Blog kehte hai.

Ab umeed hai ki sabko Blog ka matlab ya Blog kya hota hai iska andaja lag hi gaya hoga. Toh ab baat karte hai puri duniya me sabse pehla Blog kiska tha. Aaj ki baat kare toh aapko har gully me ek na ek Blogger toh zarur milega hi. Lekin yeh jaante hai duniya ka sabse pehla Blogger koun tha? Duniya ke sabse pehle Blog ka naam kyat ha? Toh chaliye jaante hai.

Who Was The First Blogger? | The NN Blogs |

Toh Blogging ki shuruvaat 1994-1999  ke bich me ho gayi thi. Or joh puri duniya me se sabse pehla Blogger tha voh tha "Justin Hall". Or uske Blog joh ki puri duniya ka sabse pehla Blog tha uske Blog ka address ya uske Blog ka URl tha "Links.net". Or joh yeh duniya ka sabse pehla Blogger tha voh ek US Freelance Journalist tha.

Jab usne duniya ka sabse pehla Blog banaya tha tab voh ek Student tha Swarthmore University me. Or voh uske Blog joh ki puri duniya ka sabse pehle Blog tha usme joh content publish karta tha voh use Blog karke nahi ek Personal Homepage karke content publish karta tha or usne uske duniya ke sabse pehle Blog ko ek Blog karke nahi balki Personal Homepage karke listed kiya tha.

Who Was The First Blogger? | The NN Blogs |

Toh umeed hai ki aapko Duniya ka sabse pehla Blogger koun tha? Duniya ke sabse pehle Blog ka Address kya tha? Usne Duniya ka sabse pehla Blog kab banaya tha? Sab kuch aapko jaan ne ko mila hoga. Aapko yeh Blog post kaisa laga mujhe comment karke zarur bataiye or aapse jitna jyada ho sake utna jyada is Blog post ko share kariye taaki sabhi ko iske baare me pata chale!!!

Thank You!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

JAi Hind, JAi Bharat!

Written Byjob alert72

Post a Comment

0 Comments

Translate