Titanic jahaj duniya ka sabse bada sabse aalishaan jahaj tha or Titanic jahaj ko kabhi na dubne wala jahaj kaha gaya tha lekin Titanic jahaj apni pehli hi yaatra me dub gaya jiske karan hazaaro logo ki jaane gayi. Aaj mai aapko usi Titanic ke baare me unbelievable cheeze bataunga. Toh chaliye shuru karte hai or jaante hai Titanic ke baare me.

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Log Mare!!!

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic Jahaj duniya ka sabse bada aalishan jahaj tha jise kabhi na dubne wala jahaj mana gaya tha lekin Titanic jahaj apni pehli hi yaatra joh ki Britain se America me dub gaya. Titanic jahaj 14 April 1912 - 15 April 1912 ko North Atlantic Ocean me Iceberg ke takraane se dub gaya. Titanic jab Iceberg se takraya toh Titanic jahaj ke nichla part puri tarah se tut gaya jiske karan paani pure jahaj me or tezi se bhar gaya. 

Titanic Iceberg se takraane ke 1-2 ghante baad puri tarah se paani me dub gaya. Titanic jahaj me 2200 se bhi jyada yaatri sawaar the or un me se 1,490-1,635 se bhi jyada jaane gayi or bas 706 log hi bache un me se 492 passengers the or 214 crew members the. Or jinki jaane gayi Titanic jahaj dubne se un 1,635 me se bhi paani ke andar puri khoj se sirf 340 or usse kuch jyada bodies ka hi pata chala or 1,160 or usse bhi jyada bodies ka aaj tak pata nahi chala. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic jahaj ne Iceberg se takraane ke aadhe ghante pehle 6 messages recieve ki thi ki aage Iceberg aane wala hai or un me se aakhri 3 messages extreme warning wale the ki aage bohot bada Iceberg hai apni speed ko ekdum dheemi karo or raasta badlo lekin Titanic jahaj me jaha messages receive hote the vaha kisine messages ko receive hi nahi kiya. Or Titanic jahaj full speed me aage badhta chala gaya. 



Or aadhe ghante baad Titanic iceberg se ja takraya. jiske karan Titanic jahaj 1-2 ghante ke andar hi puri tarah se 2 tukde hoke dub gaya. Titanic jahaj ka 1 tukda dusre tukde ke kahi dur jaake paani ke andar mila tha. Aap jaante hi hoge ki koi bhi jahaj me lifeboats jyada rakhe jaate hai jisse ki agar jahaj koi dubne ki kagar me aaye toh jahaj me jitne bhi log hai unhe lifeboats ke zariye bacha liya jaaye. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic jahaj me sirf 20 Lifeboats hi the jiske karan 1,500 se bhi jyada jaane gayi. Titanic me aaram se 70 se bhi jyada Lifeboats sama sakte the lekin Titanic me sirf 20 Lifeboats ko hi rakha gaya or uska karan yeh bataya ki Titanic me jyada Lifeboats rakhne se Titanic jahaj andar se or bahar se bhi accha nahi dikh raha tha or Titanic jahaj kabhi nahi dub sakta is over confidence se sirf 20 Lifeboats hi Titanic jahaj me rakhe gaye or jisse itni jyada jaane gayi. 

Or Titanic jahaj me 20 Lifeboats me bhi jab logo ko baithaya ja raha tha jaan bachane ke liye tab ek lifeboats me 60 log aasani se baith sakte hai lekin jaldbaaji me lifeboats me 30-40 logo ko hi baithaya gaya tha jabki jyada log aasani se baith sakte the or jisse bhi jaane bach sakti thi lekin nahi bach saki. Or Titanic jahaj jab Iceberg se takraya jab paani tezi se pure ship me bhar raha tha uske aadhe ghante baad Lifeboats ka istemaal kiya jaaye lifeboats se jaan bachayi jaayi yeh unhe uske aadhe ghante baad dimaag me aaya tab tak sabhi joh crew the Titanic jahaj ke voh bas shaant baithe huye the. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic Jahaj duba tha yeh aap me se sabse logo ko pata hai lekin kya aap jaante hai Titanic jahaj jaisi hi ek same too same duplicate ship thi jiska naam "Olympic" tha or is ship ko bhi Titanic ship banane wali company ne hi banaya tha. Jinhone Titanic jahaj dubne ke baad researches ki thi ki Titanic itna bada jahaj jise banane me karodo-arbo rupay kharch kiye gaye voh sirf Iceberg se takraane se tut gaya or dub gaya aisa nahi ho sakta. 

Toh researchers ki bohot research karne se yeh pata chala ki joh jahaj North Atlantic Ocean me Iceberg ke takraane se duba tha voh asal me Titanic tha hi nahi balki Titanic ki hi jaisi same too same dikhne wali Olympic ship thi. Or yeh bhi researchers ka kehna tha ki jinhone Ships ko exchange kiya jinhone Titanic ko Olympic me badla or Olympic ko Titanic ka naam diya Olympic ko Titanic ki tarah thoda takdil kiya un karmchaariyo ko 20 saal ki jail ki dhami dene ke baad unhone yeh bataya ki. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic ki tickets puri bik chuki thi or Titanic banke taiyaar hone ki thi Titanic me or thoda kaam baaki tha lekin Titanic ki Britain se America jaane wali pehli Titanic ki tickets puri ki puri bik chuki thi or agar voh Titanic ki trip ko cancel karte toh company ko karodo ka nuksaan hota toh unhone Titanic ke jagah Olympic ship ko bheja. 

Or Olympic ship ke nichle part me kisi karan se aag lagi thi or Titanic ke ravana hone ka samay aa gaya tha. Ab titanic joh ki ab Olympic thi usko ravana karna tha lekin nichle part me aag lagi thi or sabhi yaatri bhi wait kar rahe the toh unhone aag ko naa bhujakar vaise hi sabhi yaatrio ko Olympic jahaj me baithkar America ke liye ravana kar diya gaya. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Or jab Olympic Icerberg se North Atlanic Ocean me takraai toh joh ki nichla part me pehle hi bohot badi aag lagi thi uske karan nichla part puri tarah se kamjor ho gaya or Iceberg ke takraane se nichla part puri tarah se aasani se tut gaya or tezi se pure jahaj me paani bharne laga or jahaj dub gaya. 

Kuch researchers ka yeh bhi kehna hai ki Titanic Yaane ki Olympic jahaj joh North Atlanic Ocean me duba tha use jaan bujhkar dubaya gaya tha or ek bohot interesting cheez aap sabhi ko batau toh Ek jahaj North Atlantic Ocean me dubne wala hai Icerberg ke takraane se voh bhi jis samay Jahaj duba usi samay or joh jahaj duba us jahaj ka naam bhi Titan tha voh sab cheeze 14 saal  pehle kisi ek book me pehle se hi leeki huyi thi. 

Titanic Jahaj Jiske Dubne Se Hazaaro Logo Ki Jaane Gayi Asal Me Voh Jajah Titanic Tha Hi Nahi!!!

Titanic Jahaj duba hi nahi balki Titanic ke jagah joh duba voh Titanic ki hi jaisi dikhne wali ship Olympic thi iska sabut aur interesting sabut mai aapko iske agle article me dunga saath hi aapko Titanic ke baare me or interesting facts bhi aane wale kuch articles me bataunga. 

Tab tak aapko yeh blog post kaisa laga or aap Titanic ya Olympic ke baare me kya sochte hai mujhe comment karke zarur bataiye or saath hi is blog post ko jitna jyada ho sake utna jyada share kariye taaki iske baare me puri duniya ko pata chale!!

Thank You!!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

JAi Hind, JAi Bharat! 

Written By - job alert72