images of two oceans meet but do not mix quran

Two oceans meet but do not mix!!

Aap ne aise do samudro ko milte huye or unka paani mix huye bohot baar dekha hoga par aise hi do samudra hai joh mile toh hai par unka paani kabhi mix nahi hota. Ab ise aap miracle kahe ki kuch or kuch farak nahi padhta. Sabse hairaan ki baat yeh hai ki yeh do samurdra mile hai yeh toh thik hai par dono samudra ka rang alag alag hai or voh kabhi kabhi mix nahi hote. Dono samudra judkar bhi alag hai. 


Samudra ke in dono paaniyo ke uper bohot saare research bhi ho chuki hai. Scientists ka yeh kehna hai ki khaare or mithe paani ka alag hote huye ek hi jagah par milna. In dono samudro ko dekhkar aisa lagta hai ki yeh dono samudra mile toh hai par inka paani kabhi mishrit nahi hota. In dono samudro ke bich ek barrier sa dikhayi deta hai.

images of two oceans meet but do not mix quran

Ise duniya ke sabse bade rahayso me se mana jata hai. Scientists ke bohot researchs huye. Lekin har scientists ke alag alag vichaar hone ke karan yeh aaj tak samajh me nahi aa paya hai ki iske naa milne ka asli sach kya hai or kuch scientist ne kuch aise cheeze batayi hai jisse lagta hai ki yahi voh karan hai unke naa milne ka toh scientists ke mutabik yeh dono mita paani or khara paani ek-dusre se milte hai aisa jhuth hai ki voh nahi milte or yeh bhi baat sach hai ki unke bich me ek barrier hai. 



Or yeh dono paani milte hai toh kaise milte hai uska reason yeh hai khara paani mithe paani me chala jaaye toh voh fatak se uske samaan yaani uski properties apna leta hai uske color ke samaan ho jata hai or vohi mitha paani khara paani me chala jaaye toh mitha paani khaare paani jaisa ho jata hai. Scientists is barrier ko transition homozenysing barrier kehte hai joh ek paani agar dursre paani me chala jaaye toh transformation karne ka kaam karta hai. Bas yehi nahi pavitra kuraan me bhi iska zikr hai or yeh sach hai kuraan me in dono samudro ke baare me bataya gaya hai.

Thank You!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

JAi Hind, JAi Bharat!

Written By - job alert72