Habits Of A Successful Person -
Hum me se kon hai joh successful nahi hona chahta har koi successful hona chahta hai. Par kuch log aise bhi hai joh apne jeevan me fail bhi ho jaate hai unsuccessful ho jaate hai uska kya karan hai aisi voh kya galti karte hai ki voh jeeven me successful nahi ho paate or kuch log joh successful ho jaate hai par voh itne bhi successful nahi ho paate jitna voh chahte the.Or aise hi kuch log hai voh khud ke balbute itne successful huye hai ki jiske baare me hum soch bhi nahi sakte the. Chaliye jaante hai aisa kya routine hota hai aisi kya soch hoti hai jisse koi bhi akela insaan bohot jyada successful self--Made billionaires ban jaate hai.
Habits/Routine Of A Self-Made Billionaires:-
Do What Your Passion - Self-Made billionaires apne passion ko follow karte hai
naa ki log joh kar rahe hai voh karte hai. Self-Made billionaires unka passion
jisme hai usi me unhone shikhar praapt kiya hai. Kyuki unko pata hai ki agar
voh unka passion follow karege tabhi unhe voh kaam karne me maja aayega or voh kaam
voh bade aasani se bade utsaah se kar paayege. Toh hume apna passion kisme hai
voh dhundhna hai Or usi direction me jana hai log kya sochege is par bilkul
dhyaan nahi dena hai.
Long Term Soch- Koi bhi akela insaan bohot jyada successful hua hai toh isme is cheez ka bohot bada yogdaan hai. Joh SelfMade Billionaires bane hai unki soch long term ki hoti hai voh koi bhi kaam karte hai toh voh long term ko dhyaan me rakhkar karte hai. Voh aaj ya kal ki soch nahi present me hi jikar aage ke 10-20 saal plan karte hai
Time Management -
Self-Made billionaires ki sabse important baat yeh hai ki voh apna time ko
kaise use karte hai. Unhe pata hai sabko 1 din me 24 hours hi milne waale hai
or isi 24 hours aage kya hoga is par depend karte hai toh voh apne 24 hours
bohot use karne ki koshish karte hai. Voh samay ko invest karte hai naah ki
spend. Voh kabhi bhi time waste nahi karte toh time ko jitna ho sake utna use
karo waste na karo invest karo.
Never Give Up - Self-Made Billionaires kabhi haar nahi
maante. Unhe pata hai haar maanege nahi toh jeetne ke chances or bhi jyada badh
jaate hai. Chahe kitni bhi mushkile aa jaaye voh kabhi haar nahi maante voh
humesha mushkilo ka dat kar saamna karte hai. Chahe kitne bhi failures aa jaaye
voh jab tak us cheez ko paa nahi lete jise voh pana chahte hai tab tak voh haar
nahi maante. Toh Never Give Up! Example ke Liye Jack Ma.
Ek Baat Self-Made Billionaires me yeh dekhi gayi hai jab sabhi billionaires par
research huyi toh yeh baat saamne aayi ki jitne bhi successful billioniares hai
voh technology ke field me hai. Unhone Inovations ki hai. Har Billionaire ek
innovator tha toh humesha har cheez dusro par na thopkar kabhi kuch bhi kuch na
kuch banakar ya kisi bhi feild me aap kya aisi problem hai jise aap solve kar
sakte hai yeh cheez dhyaan me rakhkar inovate kare..
Thank You!
Keep Loving, Keep Sharing! <3
JAi Hind, JAi Bharat!
Written By - job alert72
Keep Loving, Keep Sharing! <3
JAi Hind, JAi Bharat!
Written By - job alert72
0 Comments