Maa Baap Ki Ahmiyat | job alert72 |

images about mom and dad

Maa Baap Ki Ahmiyat 


Ek ladki ke bas papa hi the or uski maa ki bachpan me hi death ho gayi thi. Uske papa ne use apni kadi mehnat se uski beti ko padhaya likhaya or is kaabil banaya ki voh khud ke balbute kuch kar paaye. Beti ko ek ladke se pyaar ho gaya. Beti usse chup-chup kar mila karti hai uske papa yeh baat toh jaante the ki beti kisi na kisi ladke se mil zarur rahi hai bas yehi duaa karte the ki beti ke saath kuch galat na ho jaaye. 

Phir voh din aa hi gaya ki beti apne boyfriend ke saath bina batayein shaadi karkar aa gayi uske papa yeh dekhkar bohot chauk gaye voh apni parvarish par kasur lagane lage jab beti ka yeh kaha ki uska pati kuch kaam nahi karta voh aapka hi business sambhale toh papa ka pura dil tut gaya or yeh sochne lag gaye ki yeh uski beti ko yeh kya ho gaya hai. OR vohi gusse gusse me unhone apni beti or uske pati ko ghar se nikaal diya or kuch mahine baad hi uske papa ki bohot jyada tabiyat kharab hone ke karan maut ho gayi. 

images about mom and dad

Jab beti ko yeh pata chal gaya tab voh bohot royi or yeh sochne lagi or sharminda hone lagi ki papa ne hi use apni mehnat se pala parosa or usne ek ladke ke liye apne papa ke pyaar ka yeh sila diya. Papa akele rehne ke karan unka koi dhyaan na rakhne ke karan hi unki maut huyi hai aisa voh sochte huye bohot rone lagi. Or unke antim sanskaar ka samay ho gaya tha toh voh akele hi apne papa ke antim sanskaar ke liye nikal padhi. Antim sanskar ho gaya voh apne papa ke yaane voh apne ghar gayi jisse uske papa ne use nikaal diya tha. 

voh apne papa ke kamre me gayi or unki sabhi cheezo ko dekhkar unke saath bitaye huye pal sochkar unki itni beintehaan mohabbat ko sochkar fut fut kar rone lagi. Tabhi use papa ke kamre me ek chitti mili or usme yeh likha tha ki "pyaari gudiya, Mujhe malum hai tum mujhse naraj ho ki maine tumhe ghar se nikaal diya tha ho sake toh mujhe maaf kar dena mai jaanta hu jab maine tumhe ghar se nikala tab tumhare pass rehne ke liye jagah nahi thi tum dardar ki thokre khaa rahi thi

images about mom and dad

Par mai bhi udaas tha tumhe mai kaise batau, yaad hai tumhe jab tum paanch saal ki thi tab tumhari maa ki death ho gayi thi. tab tum kitna roti thi bohot darti thi mere bina soti nahi thi. tab mai saari raat tumhare saath rehkar tumhe sambhala karta tha jab tum school jaya karti thi tab mai tumhare school ke bahar ghanto bitaya karta tha or jab tumhe chutti hoti thi tab tumhe gale se lagaya karta tha. Yaad hai tumhe jab bhukaar aaya karta tha tab mai sari raat tumhari seva kara karta tha mai andar se bohot rota tha par tumhe hasaya karta tha. 

Tumhara voh raat ko der se ghar aana, dosto ke saath jyada waqt bitana apne papa ke liye tumhare pass 2 min bhi na hona in sabhi baato par maine gour nahi kiya kyuki tum jis age me thi us age me yeh sab kuch hota hai. Lekin ek din jab tum ek ladke se shaadi kar aayi jiske baare me tumhe kuch bhi pata nahi tha . Mai tumhara papa maine us ladke ke baare me sab pata kiya or jaane us ladke ne apni vaasna or paiso ke liye kitne ladkiyo ke saath dhoka kiya hai. 

Lekin tum toh prem me andhi thi tumne mujhe ek bhi baar is baare me nahi pucha na tum us ladke se pyaar karti ho aisa bataya. beti ho sake toh mujhe maaf kar dena maine tumhare saath bohot bura kiya i am so sorry gudiya!!"Yeh khat padhkar bohot rone lagi or apne kiye pe pachtava karne lagi..Lekin ab pachtaay hott kya jab chidiya chug gayi khet... 
images about mom and dad
Moral - Bacche chahe kitne bhi bure ho maa baap bure nahi hote maa baap apni puri jindagi bita dete hai apne baccho ki life banane me or vohi unke bacche unke pyaar ko naa samajhkar unke pyaar ka aisa sila dete hai.. Boyfriend or Girlfriend ya pati ya patni koi bhi voh voh aapse itna pyaar nahi kar sakte jitna aapke maa baap kar sakte hai. Jinhone hume is duniya me laya or aajkal ke bacche unki hi duniya barbaad kar dete hai. Is baare me sochiye!!Apne maa baap ko jitna pyaar de sakte hai unhe dijiye life me maa baap ko hi jyada time de kisi auro ko nahi.. 

Thank You!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

JAi Hind, JAi Bharat!

Written By - job alert72

Post a Comment

0 Comments

Translate