Netbanking -
Aap me se bohot se logo ko
netbanking se online payment karna hota hai par bohot se logo ko samjhta hi
nahi ki netbanking se online payment kaise kare? Log kehte hai jab netbanking
par click karte hai toh ek new window open hota hai or username or password
maangta hai par unke pass username or password hai hi nahi toh voh kya kare?
Voh username or password kaha se laaye?
Net Banking Kya Hai? Iska Kya Use Hai?
Netbanking
ka matlab hai ki apne bank se hi online transaction karna bina kisi pan card,
credit, debit, ATM card ke bina. Net banking un logo ke liye bohot zaruri hai
jinke pass koi card nahi hai online payment karne ke liye. Or ek baat
netbanking karna koi badi baat nahi hai yeh bohot hi aasaan hai. Ab baat aati
hai ki netbanking me username or password maangta hai toh kya kare yeh voh kyun
maangta hai? Kaise online payment kare netbanking se?
Net Banking Ke Liye Kya Chahiye? Username or Password Kaha Se
Laaye?
Netbanking
karne ke liye aapke pass username or password chahiye. Ab baat aati hai ki
username or password nahi hai toh kaha se laaye? Toh sabse pehli baat aapka jis
bhi bank me account hai vaha jaiye or unse kahiye ki netbanking ka form bharna
hai jakar form fill kare or unhe submit kare phir aapke ghar me 10-15 din me ek
chittti aayegi usme aapka netbanking ko use karne ke liye username or password
aa jaayega phir aap use online payment ke liye use kar payment kar sakte
hai..
Mai umeed
karta hu ki aapko samajh me aa gaya hoga bohot se logo ke man me yeh doubt hota
hai ki bas net banking ke liye bas aapke bank account ka number chahiye hota
hai par yeh bilkul bhi galat hai aapke pass online transaction karne ke liye
net banking se username or password chahiye hota hai joh ki aapko yuhi nahi
milta.
Net
banking karne ke liye form fill karna hota hi hai tabhi username or password
aapke ghar me post office ke dwara bheja jata hai phir aap kar sakte hai
netbanking bina kisi mushkil ke!!!
Agar
aapke man me kisi bhi prakaar ka doubt abhi bhi hai toh comment karkar puchiye
mai jawaab zarur dunga!!
Thank You!
Keep Loving, Keep Sharing! <3
JAi Hind, JAi Bharat!
Written By - job alert72
0 Comments