Kola Superdeep Borehole - Duniya Ka 12 KM Ka Sabse Bada Gadda - Must Read | job alert72 |

images for kola superdeep borehole

Bohot se log aise hai joh Kola Superdeep Borehole ke baare me nahi jaante. Kola Superdeep Borehole ke baare me aapko pata hi hona chahiye. Aaj mai aapko isi Kola Superdeep Borehole kya hai yeh bataunga. Toh chaliye blog post shuru karte hai or jaante hai Kola Superdeep Borehole ke baare me.

Kola Superdeep Borehole

images for kola superdeep borehole

Kola Superdeep Borehole Murmansk Oblast, Russia, 184430 yaha par hai. Yeh duniya ka sabse bada sabse gehra gadda hai. Jiski gehrai ki baat kare toh voh 12,262 Kilometers ki hai. Ab baat aati hai ki Kola Superdeep Borehole duniya ka sabse gehra gadda ise khoda kyun gaya? Iske khode jaane ke piche kya raaz tha? Or khodne par kya pata chala? Log Kola Superdeep Borehole ke Niche Nark hai aisa kyun kehte hai? Sab cheez ka jawaab ab mai aapko dheere dheere dunga. Toh chaliye jaante hai.



1960 me sabhi desho me antariksh or earth ke baare me sabse pehle jaan ne ki or bohot saari aisi cheeze jisse duniya abhi tak parichit nahi hai aisi cheeze saamne laane ki explore karne ki sabse pehle explore karne ki chahat sabhi desho me thi. Har desh antariksh or earth ke alag alag cheeze jise duniya nahi jaanti aisi cheeze pehle jaankar duniya ko sabhi desh sabse pehle batana chaahte the.

Or duniya ko sabse pehle antraiksh or earth ke bohot si cheezo ko pehle batane ki race me Russia aage nikal gaya. Russia ne Russia me Murnmansk Oblast naam ki jagah me duniya ka sabse gehra gadda khoda. Jiski gehrai jaise ki maine aapko bataya 12,262 Kilometer ki hai or yeh ab tak ka khoda jaane wala duniya ka sabse bada sabse gehra gadda tha. 

images for kola superdeep borehole

Logo ka aisa kehna hai ki us Gadde me bohot saari rahasymayi bohot saari ajeeb ajeeb cheeze mili jise Russia sarkaar or Russia ke Scientist ne kabhi duniya ko nahi bataya. Lekin Russia ke scientist ne kuch cheeze batayi joh yeh hai ki jab unhone 6 Kilometer tak gadda khoda tha tab unhe patthar or paani mila. Scientist ka kehna tha ki voh joh patthar tha voh 2 Billion saal se bhi purana patthar tha.



Us Gadde ke andar bohot saari gases hai yeh scientist ko pata chala Jaise Oxygen, Hydrogen, Helium, Carbondioxide, Or bohot saari. Dekhiye scientist ne gadda khodne se pehle yeh anumaan lagaya tha ki gadda khodege toh gadde ke andar jyada se jyada temperature 100 Degree Celcius hoga.

Aap yeh jaante hi hoge ki jaise jaise hum dharti ko khodege niche niche jaayege vaise vaise temperature badhega. Scientists ne bataya ki us gadde ka temperature 180 Degree Celcius tha jabki 100 Degree unhone socha tha or 100 Degree me toh paani hi ubalne lag jata hai. Toh ab aap soch hi sakte hai ki 180 Degree Celicus yaane ki kitna jyada temperature us gadde ka tha.

images for kola superdeep borehole

Yeh toh yeh baat ho gayi joh Scientists ne puri duniya ko bataya ab mai aapko aisi cheeze batata hu joh Scientists ne puri duniya ko nahi bataya lekin aisa hua tha. Us gadde ko jab unka 12 Kilometer khodna ho gaya tha jab voh us gadde me or nayi nayi cheeze har roj paa rahe the tab us gadde ko research karne wale Scientists ko us gadde se bohot chilaane ki awaaje aane lagi thi jaise maano koi us 12 Kilometer gadde ke niche ho. 



Ab aap hi sochiye 12 Kilometer ke itne gehre gadde me bhala koi kaise ho sakta hai lekin Scientists ko us gadde se logo ki zor zor se chillaane ki awaaje aane lagi thi Scientists ka aisa bhi maan naa tha ki ho sakta hai us gadde ke niche shayad Nark ho. Us gadde ke niche se itni bhayank awaaje aati thi ki Scientists ko research karne me dar lagne laga tha. 

Scientists ko laga ki is gadde ke niche nark hai or ise or khodna thik nahi hoga or itni bhayank awaaje us gadde ke niche se aane ke karan Scientists ne 180 Degree Celcius bohot jyada temperature yeh batakar us gadde ko band kar diya or use khodne par rok laga dala. Or use khodna band kar diya.



Ab baat yeh aati hai ki Itne gehre gadde se awaaje kaise aa sakti hai or haa awaaje toh aa rahi thi lekin voh awaaje kiski thi kya us gadde ke niche nark ka raasta tha ya phir kisi nayi duniya ka? kya us gadde ko or khoda jata toh kya voh scientists ko nark ka darwaja mil jata? Kya us gadde se jiski awaaje aa rahi thi voh kisi aathma ki thi? 

images for kola superdeep borehole

Aise bohot se tamaam sawaal hai jiska jawaab kisi ke pass nahi hai. Iska jawaab Scientists bhi khud nahi de sakte hai. Aap kya sochte hai aapko kya lagta hai us gadde ke niche kya ho sakta hai? Kya us gadde ko or khodkar uske niche kya hai yeh jaan na chahiye tha? Scientists ka yeh bhi maan naa tha ki agar voh us gadde ko or khodte toh shayad un sabhi ki jaane bhi ja sakti thi kyuki uper se itna jyada temperature or voh itni bhayank awaaje jaise koi madat ke liye pukaar raha tha ya maan lo ki nark ho jaise niche. 


Aapko kya lagta hai mujhe comment karke zarur bataiye OR aapse jitna jyada ho sake utna jyada is blog post ko share zarur kare!!

Thank You!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

JAi Hind, JAi Bharat!

Written Byjob alert72

Post a Comment

0 Comments

Translate