Kya Education Hi Sab Kuch Hai?
Humse Padhai Karna Nahi Ho Raha Hai Toh Hume Kya Phir Bhi Padhna Hi Chahiye? |
Jyada tar students yeh sochte rehte hai ki education important hai ki nahi. Toh mai aapko yeh bata du ki aisa nahi hai ki education important nahi hai yeh important hai par itna bhi nahi hai ki agar aapse padhna ho hi nahi raha hai toh aap phir bhi aisa kaam karte rahe jise karkar aap apne zindagi me kuch nahi kar paayege.
Mai aapko iska example deta hu ki education important hai
par itna bhi nahi jaisa ki aap Mark Zukerberg, Bill Gates, Steve Jobs jaise billionaires ko
toh jaante hi hoge voh sab dropout hai phir bhi aaj voh itne successful hai ab
aap me se bohot log yeh soch rahe hoge ki phir bhi yeh apna college acche se
padhe hai or yeh coding me bohot maharathi hai toh inhone toh padhai ki hi hogi
na?
Humse Padhai Karna Nahi Ho Raha Hai Toh Hume Kya Phir Bhi Padhna Hi Chahiye?
Yeh baat alag hai ki unhone college dropout kiya phir bhi unhone padhai ki
hi hai. Toh ha isiliye mai aapko yeh keh raha tha ki education important toh
hai lekin itna bhi nahi in logo ka interest coding me tha isiliye voh itne
maharathi ban paaye or coding ko itne acche se padh or samajh paaye.
Aisa ho
sakta hai ki aapko kuch aisa banna ho jiske liye aapko padhai karni hi hogi toh
mere bhai aapke liye padhai bohot zaruri hai agar aap nahi karoge toh joh aap
banna chahte ho voh aap nahi ban paaoge or kuch log aise hoge jinko
singer,dancer vagera kuch banna hoga toh aap padho ya na padho isse koi farak
nahi padhta.
Kyuki aapka joh vision or mission hai usme education ka koi role hai
hi nahi agar aap nahi bhi padhege toh iska matlab yeh nahi hoga ki joh aap
banna chahte hai voh nahi ban paayege kyuki aapka passion hi education se hatke
hai.
Par aapko itna toh education chahiye hi ki aap basic kaam karne me saksham
raho computer vagera basic kaam aapko aane hi chahiye nahi toh pata chala aap
bohot bade singer ban gaye or aapko kuch cheque tak sign nahi karna aata toh
aapke itna bada banne ka ghante ka bhi matlab nahi raha umeed karta hu mai joh
aapko samjhana chahta tha voh aapke samajh me aa gaya hoga!!!
Or ek baat abhi
aise bhi log hoge jinko banna kuch or hoga education se hatke toh voh padhai hi
chhod dege toh yaar padhai karo kya pata joh aap banna chahte the voh kisi vajah
se naa ban paao toh aapke padhai hi kaam aayegi aap padhai ke badolat kuch na
kuch toh ban hi jaaoge na isiliye padhai bhi thoda sa karo par apni zindagi bas
padh padh kar kharab mat karo!!!! Toh Education is important but itna jyada bhi important nahi hai jitna hum sochte hai!!!
Samajh me
aaya joh maine aapko samjhane ki koshish kiya toh comment karkar zarur
bataiyein or aapka koi bhi doubt hai na toh comment karkar puch lo mai pakka
jawaab duga!!!
Thank
You!!!
0 Comments