Blogger or Wordpress | Blogger to Wordpress | Blogger vs Wordpress | The NN Blogs |

Blogger or Wordpress | Blogger to Wordpress | Blogger vs Wordpress | The NN Blogs |


Blogger or Wordpress

Bohot se log aise hote hai jinhe blogging toh start karni hoti hai par unhe samajh nahi aata kis platform par blogging kare kyuki blogging karne ke liye 2 platforms hai or dono hi bohot powerful or famous platforms hai. Toh mai aapko suggest karunga ki agar aap blogging karna chahte hai or aap abhi blogging ke beginner hai toh aap wordpress par hi blogging start kare. Ab aap bologe ki wordpress par toh hosting ka paisa dena hoga toh ha paisa toh lagega joh ki aap blogger par free ki hosting karke blogging kar sakte ho. Lekin phir bhi aap wordpress par hi start kare kyuki wordpress par aap bohot hi aasani se blogging kar sakte hai vaha par aapko HTML ki zarurat nahi padti. 

Har kaam aasani se ho jata hai or jab aapko adsense ka approval milta hai toh aapke website par ads par invalid click ka bhi jyada dar nahi hota. Kyuki invalid clicks se adsense accounts disabled or suspend hote hai. Or agar aap blogger pe blogging karte hai toh vaha pe invalid click ka bohot dar hota hai jisse aapko account disabled or suspend kabhi bhi aasani se ho sakta hai. Google bohot strict kaam karta hai ads par invalid click hone pe. 

Or phir bhi aap blogger pe hi blogging start karna chahte hai kyuki aapke pass paise nahi hai toh phir bhi aap blogger pe bhi blogging kar sakte hai par blogger par aapko jyada customization ke options nahi milte.Aapke pass paise nahi hai toh pehle aap blogger pe blogging karle usme Adsense ka approval paaye or jab aapki thodi bohot earning ho jaaye tab aap wordpress par shift ho sakte hai. 

Blogger to Wordpress

Blogger to Wordpress

Blogger to Wordpress

Bohot logo ke man me yeh question hota hai ki blogger se wordpress par shift hua ja sakta hai ki nahi. Toh mai aapko batana chahunga ki hota hai aap blogger se wordpress par shift ho sakte hai bas kyuki aapko blogger par hosting free me milti hai toh aap pehle hosting kharidiye phir kuch settings karke aap apni blogger ki website ko bohot hi aasan tarike se wordpress par shift kar sakte hai bina kisi mushkil se. 

Or logo ke man me yeh bhi question hota hai ki blogger pe unki site hai or usme adsense ka approval unhone liya hai ads lagayi hai unhone apni website par. Agar voh apni blogger ki site ko wordpress par shift karte hai toh unke adsense account par kuch prabhaav padega ki nahi or ads wordpress par shift hone ke baad bhi dikhegi ki nahi. Toh mai aapko bata du ki aapki site par agar Adsense ka approval hai or site par ads bhi lagi hai phir bhi aap wordpress par shift ho sakte hai aapke adsense ke account or aapki ads ko kuch nahi hoga aapko chinta karne ki koi baat nahi hai.

Blogger vs Wordpress

Blogger vs Wordpress 

Blogger vs Wordpress

Yeh maine aapko pehle hi bata diya hai ki blogger or wordpress me se konsa platform accha hai phir bhi bata deta hu ki wordpress hi sabse best hai or sabse aasan se blogging kar sakte hai. Joh aap chahe jaise chahe aap customization kar sakte hai joh aapko blogger me customization nahi kar sakte. Ads par invalid click hone ka bhi dar Wordpress par bohot kam hota hai joh ki blogger me bohot jyada dikhaayi deta hai. 

Or sabse zaruri baat aap wordpress par lifetime blogging karke paisa kama sakte hai joh ki blogger is platform par namumkin hai kyuki CTR badhte rehta hai invalid click hote rehti hai usse bach pana blogger par thoda kam hota hai or ek baat agar aapko HTML nahi aata phir bhi aap wordpress par bohot hi aasani se customization jaisa aap chahe kar sakte hai bina kisi mushkil ke joh ki blogger par bhi hota hai lekin bohot kam. blogger par aap jaisa chahe vaisa customization nahi kar sakte or aapko blogger par kuch kuch customization ke liye HTML aana bohot zaruri hota hai joh ki Wordpress par nahi hota.

Umeed hai ki aapke sab doubts clear ho chuke hoge sab cheeze aapko samajh me aa chuki hogi lekin phir bhi aapko kuch bhi doubt hai kuch bhi problem hai toh aap comment karke puch sakte hai mai aapki madat ke liye humesha raazi hu. Or aapko kisi bhi topic par blog chahiye toh aap comment karke bataiye hum us topic par blog zarur or bohot jaldi banayege!!!!


Thank You!!!!

Keep Loving, Keep Sharing! <3

Jay Hind! Jay Bharat!

Written By - job alert72